Saturday, May 15, 2010

muniya ka basta

kai dino se maang rahi thi meri muniya basta
purana basta ho chuka tha uska bilkul khasta
paas mere par paise nahi the,tankhwah ka intzaar tha
basta use abhi lakar dedun dil me mere itna pyar tha
par sar se chhat bhi tapak rahi thi usko theek karwana tha
farsh main gaddhe badh rahe the unko bhi bharwana tha
munna ki fees bhi bharni thi guddi ki shaadi karni thi
udhar teacher muniya ko dant rahe the bacche bhi hansi udate the
intzaar mujhe bhi rehta tha ki shayad aaj milegi unko tankhwah
or ghar par aayega muniya ka basta.

1 comment:

  1. बहुत ही मार्मिक तस्वीर उतारी है तुमने... उम्मीद है तुम और भी लिखते रहोगे..

    शुभकामनायें.

    ReplyDelete